Guzarta hoon main aaj inhi raahon se,
yaadein tumhaari apni aankhon se sajaayi thi jahaan…
Dhoondta hoon main yahaan unhi lamhon ko,
khoya tha jab khud ko tumhaari baahon mein…
uljha hoon jo ulfat ki raahon mein yoon,
khwahish hai yahi ki palkon mein tere, sulajh jaoon
Ae kabhi tanhaaiyon mein parchaai banke mila karo,
Wafaai ka mujhe yoon na sila diya karo
Bewafaa hi sahi, khwaabon mein tho rafaaqat diya karo…
